Saturday 30 January 2016

Ulfat bhari un hawaaon mein;
Chahat bhari un nigaahon mein;
Manzar usi ka tha chaya;
Naa smjhe zamana saara;
Nasamjh wo khud se bhi haara;
Arzoo uske man ki,
Ab talak koi bhi naa jaan paaya....

Musaafir tha wo,
Chalta hi chala gaya;
Manchala tha wo,
Udta hi chala gaya;
Har kaafilo k sang,
Ek kalma wo bhi likhta hi chala gaya....

Manzil thi uski bhi laapata;
Na ghar Na theekana raha,
Phir bhi,
Apni zidd par ade use aage,
Badhte hi jaana tha..
Chalte hi jaana tha...

Azaad hone ki chaah mein usne,
Kai afsaano ko chodaa;
Azaad hone ki aas me usne,
Kai paymaano ko bhi todaa;
Kai Khubsurat Nazaro ko piche chodd,
Wo aage badhta hi chala gaya...

Aaj bhi hai wo thaka haara,
Magar umeedo se na tha maara,
Manzil ki chaah mein,
Aage badhta hi chala gaya....
Badhta hi chala gayaa...
Bas badhta hi chala gaya......."

~ Arzoo, A Phoenix !!
#SheWrites

No comments:

Post a Comment